SHYAM BAABA PRAYER
Prayer
Hath jod vinati karuin, suniyo chitta lagaye
Daas agaye sharan mein, rakhiyo isaki laj
Dhany tumharo desh hai, Bhatli Nagar sujan
Anupam chavi Shyam ki, darshan se kalian
Shyam Shyam nit mein ratuin, Shyam hai jivan pran
Shyam bhakt jag mein bade, unko karuin pranam
Bhatli Nagar ke bicha mein, baniyo apko dham
Fagun shukla mela bhare, jai jai baba Shyam
Fagun shukala dwadashi, utsav bhari hoye
Baba ke darbar se, khali jaye na koi
Umapati.Laxmipati, Sitapati SriRam
Lajja sabki rakhiyo,Bhatli ke SriShyam
Pan supari ilayachi,itar sugandhi bharpur
Sab bhaktan ki vinati,darshan deo hajur
“Bhaktjan”to prem se,dhare Shyam ko dhyan
“Shyambhakt”pawe sada,Shyam krupa se man.
Comments
Post a Comment