jiska saath de uski naiya ko mil jayega kinara
koi naa rahega laachar naa koi rahega bechara
sabki murade jo puri kar dete hai pal bhar me
aisa hai haare ka sahara baba shyam humara
jo bhakt inke dar pe shradha bhav se aata hai
bin maange baba ke dar se sab kuchh wo pata hai
jo bhakti se apna sheesh baba ke charno me jhukata hai
sansaar me shyam baba ki uski kirti aur yash failata hai
shyam baba main bhi aaya hoon mujhko bhi apna na
tere dar se koi mayus nahi jata meri bhi bigdi bana na
fariyaad hai tujhse baba apne charno me baithana
jab tak saans chulegi hum bhakto ka puraa saath nibhana
Comments
Post a Comment